Monday, 3 September 2012

Hum nahin kehte hamari, Teri dunya ho jaye…


Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye,
Itne rangon mein koi rang to apna ho jaye,

Ishq woh “turfa-balaa” hai ke kare jis ki talb,
Us ko maloom na ho, Sheher mein charcha ho jaye,

Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhen ban jayen,
Chand ko dheyan mein laaon tera chehra ho jaye,

Har dora hai yeh nigehbaan khari hai kismat,
Kese mumkin hai ke har shasks ka socha, ho jaye,

Hum ko har bazm mein, Har haal mein sach kehna hai,
Sheher ka sheher khafaa hota hai, Acha ho jaye,

Ishq woh kaar-e-musalsal hai nahin jis ki akheer,
Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye,

Husn ki ankh woh tahsees talb hai amjad,
Bheerr ho charon taraf aur koi tanha ho jaye..

No comments:

Post a Comment