Monday, 3 September 2012

Jab bhi ik shaam yaad ati hai


Jab bhi ik shaam yaad ati hai,
Jese duniya theher si jati hai,
Ik taraf dil hain, Ik taraf duniya,
Aur yeh scene kayenaati hai,
Yu’n bhi hota hai sher, baaz aukat,
Jese bijli si koond jati hai,
Maut se ham’kalaam hone ke,
Zindagi raste dikhati hai,
Haar hoti hai aarzi, us ko,
Be-dili mustakil banati hai,
Haadsey aik pal nahin rukte
Zindagi hai ke chalti jati hai,
Us ke dam se hain ronaq’en sari,
Yeh jo dunya ki be-sabaati hai,
Baat koi samajh nahin ati,
Baat itni samajh mein ati hai..

No comments:

Post a Comment