Sunday, 2 September 2012

gam ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin


Gam ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin
nind ka halka gulabi-sa khumar ankhon main tha
yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin
har taraf diwar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
kah sak jo dil ki halat wo lab-e-goya nahin
jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
katta hun zindagi  bhar main ne jo boya nahin
janta hun ek aise shakhs ko main bhi ‘Momin’
gam se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahin

gam ka wo zor ab mere andar nahin raha


Gam ka wo zor ab mere andar nahin raha
is umr main main itna samarwar nahin raha
is ghar main jo kashish thi gai un dinon k sath
is ghar ka saya ab mere sar par nahin raha
wo husn-e-naubahar abad shauq jism sun
rahna tha us ko sath mere par nahin raha
mujh main hi kuch kami thi ki behtar main un se tha
main shahar main kisi k barabar nahin raha
rahbar ko un k hal ki ho kis tarah khabar
logon k darmiyan wo akar nahin raha
wapas na ja wahan ki tere shahar main ‘Munir’
jo jis jagah pe tha wo wahan par nahin raha

Dar K Kisi Se Chup Jata Hai


Dar k kisi se chup jata hai jaise sanp khazane main
zar k zor se zinda hain sab khak k is wirane main
jaise rasm ada karte hon shahron ki abadi main
subah ko ghar se dur nikal kar sham ko wapis ane main
nile rang main dubi ankhen khuli pari thin sabze par
aks para tha asman ka shayad is paimane main
dil kuch aur bhi sard hua hai sham-e-shahar ki raunaq main
kitni ziya be-sud gai hai shishe k lafz jalane main
main to ‘Momin’ aine main khud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuch aur tarah tha pahle kisi zamane main

Chaman Main Rang E Bahar Utra


chaman main rang-e-bahar utra to main ne dekha
nazar se dil ka gubar utra to main ne dekha
main nim shab azma k hasrat ko dekhta tha
chaman main wo husn zar utra to main ne dekha
khumar mai thi wo chehra kuch aur lag raha tha
dam-e-sahar jab khumar utra to main ne dekha
gali k bahar tamam manzil badal gaye the
jo saya ek ku-e-yar utra to main ne dekha
ik aur dariya ka samna tha ‘Munir’ mujh ko
main ek dariya k par utra to main ne dekha

Bechainh Baut Phirna Ghabaraye Hue Rahna


Bechain bahut phirna ghabaraye hue rahna
ik ag si jazbon ki bahakaye hue rahna
chalkaye hue chalana khushbu-e-begani ki
ik bag sa tha apna mahkaye hue rahna
is husn ka shewa hai, jab ishq nazar aye
parde main chale jana, sharmaye hue rahna
ik sham si kar rakhna kajal k karishme se
ik chand sa ankhon main chamkaye hue rahna
adat hi bana li hai tum ne to “Munir” apni
jis shahar main bhi rahna uktaye hue rahna

Thani Thi Dil Main Ab Na Milenge


thani thi dil main ab na milenge kisi se ham
par kya kare k ho gaye nachar ji se ham
ham se na bolo tum ise kya kahte hain bhala
insaf kije puchte hain ap hi se ham
kya gul khilega dekhiye hai fasl-e-gul to dur
aur su-e-dasht bhagte hain kuch abhi se ham
kya dil ko le gaya koi begana ashna
kyun apne ji ko lagate hain kuch ajanabi se ham

Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha


wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
wahi yani wada nibah k tumhen yad ho k na yad ho
wo naye gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten
wo har ek bat pe ruthna tumhen yad ho k na yad ho
koi bat aisi agar hui jo tumhare ji ko buri lagi
to bayan se pahle hi bhulna tumhen yad ho k na yad ho
suno zikr hai kai sal ka, koi wada mujh se tha ap ka
wo nibahane ka to zikr kya, tumhen yad ho k na yad ho
kabhi ham main tum main bhi chah thi, kabhi ham se tum se bhi rah thi
kabhi ham bhi tum bhi the ashna, tumhen yad ho k na yad ho
hue itefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-arqaba, tumhen yad ho k na yad ho
wo jo lutf mujh pe the beshtar, wo karam k hath mere hath par
mujhe sab hain yad zara zara, tumhen yad no k na yad ho
kabhi baithe sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftagu
wo bayan shauq ka barmala tumhen yad ho k na yad ho
wo bigarna wasl ki rat ka, wo na manana kisi bat ka
wo nahin nahin ki har an ada, tumhen yad ho ki na yad ho
jise ap ginte the ashna jise ap kahte the bawafa
main wahi hun “Momin”-e-mubtala tumhen yad ho k na yad ho