Thursday 30 August 2012

A Real Love Story in Urdu Language

                    Mera Naam Ali hai or mai rawalpindi mai rahta ho ye jo mai story likh raha ho ye koi sexy story nahi ye meri life ki buhat pyari love story hai or ye real story hai mai aik larki se pyar karta tha wo b mere se buhat pyar karti thi hum dono aik dosry se itna ziada pyar karty thay jese k suraj zameen se wo buhat pyari larki thi wo khubsorat thi us ka naam hum dono ki pahli mulaqat office mai hoi or muje wo buhat achi lagti thi meri himat nahi hoti us ko kahny ki k mai aap ko like karta ho aik din mai jub office ja raha tha mene socha k aaj us larki ko kahna hai or mai jub office puhncha to wo red sout mai i thi wo buhat pyari lag rahi thi wo b muje line marti thi muje us larki se kaam par gaya or mai us k pass file le kar gaya or us k hath mai file pakrai or kaha ye boss ne di hai mene us se baat karni ki himat ki or us ko kaha k aaj aap buhat pyari lag rahi ho us ne aik buhat pyari smile ki or kaha thanx or us ne muje kaha k Mr. Ali aap b buhat achi drecing karty hai mai ye baat sun kar buhat khush howa or apna kaam karny lag gaya phir jub 4 baje choti ka time howa to mai sub ko salaam kar k jane laga to wo larki b samne karhi thi us ne muje kaha k aap 2 min roky muje aap se kuch kaam hai mai phr us larki ka wait karny lag gaya phr hum car parking mai ay to us larki ne kaha k aaj 1 cofe ho jay mai buhat khush howa or hum 1 cafe chaly gay waha per cofe pee us pahli mulaqat mai hum apni baty share karne lagy mene us larki ko apne frndz k bary mai btaya phr mene us larki se pocha k aap ka koi b frnd hai us ne kaha hai lekin wo mera cousin hai or hum frndz ki tarha hai mene kaha k ub hum b frnd hena us ne 1 pyari se smile ki or kaha g bilkul hum 1 achy dost hai lekin frnd ship mai jhoot nahi bolna or buhat achi achi baty ki us larki ne wo buhat achi larki thi or wo dosri larkio ki tarha nahi thi yani k aaj kal ki larkia buhat over ho jati hai wo simply larki thi or koi galat baat nahi karti thi phr humari mulaqaty hone lagi q k hum office mai nahi baat kar sakry thy waha per kaam buhat hota tha is liey kabhi choti k bad cofe hoti thi or kabhi nahi phr muje us larki se muhabat ho gai or valintine day b a raha tha mene socha k mai is larki ko valintine day per kah do ga k mai aap ko like karta ho muje raato ko neend b nahi aati thi mai us larki k bary mai he sochta tha is tarha mai office b late jany laga tha 1 din us larki ne mere se phocha k Ali aap aaj kal late aty ho office mai mene dil mai socha k is ko bata he do k mai aap ki waja se late hota ho phr mene kaha k nhe kuch kaam hai ghar mai is liey late ho raha ho phr mene us larki ko kaha k aaj mene aap se zarori baat karni hai wo kahti k isy bahane cofe b ho jay ge waha per jo aap ne baat karni hai kar lena phr choti k bad hum cofe pene gay waha per mene us larki ko bola k hum cofe pee pee kar thak gay hai mai valinetine day per aap k sath dinner karna chata ho us ne kaha theek hai lekin aik shart hai paise mai doge mene kaha nahi dear m a man paise mai doga us ne kaha theek hai mai raat ko ye sochta tha k valinetine day jaldi se aay or mai us ko kah do k I LOVE U phr itne intazar k bad valinetine day aa gaya or hum dinner per gay waha per wo itni pyari lag rahi thi k bus mai aap ko kia btao phr mai ye sochne laga k mai kitna lucky ho k muje itni pyari larki mili phr mene ALLAH ka naam le kar us ko kaha k FATIMA mai aap ko like karta ho n I LOVE U us ne kaha realy ALI aap ne mere dil ki baat cheeen li mai b aap se buhat pyar karti ho lekin kah nahi sakti thi mera dil buhat darta tha phr hum ne buhat romantic baty ki or us din mai buhat lucky tha k muje itni pyar karne wali larki meli mai buhat khushi khushi ghar gaya mai buhat he ziada khush tha phr mene socha k ub agli mulaqat mai hum candal light dinner kary gy mene us larki ko call ki phr us ko mene kaha k ub hum jub next time meli gy to candal ligth dinner kary gy wo b buhat khush howi phr mene us larki ko kaha k mai aap k liey aap jesa sweet sa gift lao ga us ne b kaha mai b aesa gift lao ge jo aap soch b nahi sakty mai buhat khush hota tha phr jub hamari agli mulaqat howi to mai us k liey aik ring le gaya or phr jub mai us se mila or hum ne candal ligth dinner kia buhat romantic baty ki phr mene apni pocket se ring nikali or us ko kaha k ye gift mai aap k liey laya ho wo buhat khush howi or us ne smile karty howy kaha k hum dono easa nahi kar sakty phr mene us ko kaha q us ne kaha k hum ghar walo ki ijazat k baghair engagment nahi kar sakty mene kaha k tum ne apni mama papa ko btaya mere bary mai us ne kaha k mai bus kuch din tak bata do ge phr hamari engegment ho jay ge mere papa mama kabhi nhi na kary gy aap b buhat achi family se ho or mai b ye kah kar us ne kaha pata hai mai aap ke liey kia gift lai ho mene kaha kia phr us ne muje gift dia mene us ko kohla or us k andar 1 buhat pyara sa baby nikala us k oper likah tha I LOVE U mai buhat khush howa phr hum romantic baty kar k apne apne ghar chaly gay phr mene us ko call ki or kaha k apne mama papa se jaldi baat karna wo kahti k theek hai phr humne buhat baty ki call per call band kar k mai so gaya or phr mai jub agly din office gaya to wo larki nahi i thi mene us ko call ki us ka number off ja raha tha mai buhat pareshan ho gaya mene office manager se pocha k FATIMA ka number hai aap k pass us ne kaha nhe mere pass nahi hai mai buhat pareshan ho gaya phr raat ko us larki ki call i or mene sub se pahly kaha k sub khair to hai na phr us ne kaha jub tum se call per baat kar k soi ho to buhat bukhar tha or abhi b buhat bukhar hai mene kaha ALLAH kary aap jaldi theek ho jao or kal aap office na ana jub tabiat theek ho to ana us ne kaha tum kaho to jan b de do I LOVE U bus muje kia pata tha k mai is se last time baat kar raha ho mai b agly din office nahi gaya q k mai buhat pareshan tha wo itni bemaar thi k us ka mob b off ja raha tha phr raat howi or muje call i k FATIMA ki deth ho gai hai mene us larky ko buhat galia de or kaha k ainda k bad mere se aisi baat ki to mar do ga wo larka mere se buhat jeles hota tha or wo mere office mai kaam karta tha us ne kaha k nahi yakeen to us k ghar ja kar dekh lo meri himat nahi ho rahi thi mai or jub mai FATIMA k ghar gaya waha mene kia dehka mai aap ko nahi bata sakta mai waha per hi rone lag gaya or mai us k janaze par k 3 din tak ghar nahi gaya mai akela ho gaya muje kia pata tha k FATIMA ko cancer tha us ki mama ne muje bataya Dear Frnd mai ye story likh raha ho meri himat hai mai abhi b roo raha ho q k mai FATIMA k jane k bad buhat akela ho gaya ho jub muje us ki mama ne bataya k FATIMA ko cancer tha to mene us ki mama se pohcha k FATIMA ko pata tha k us ko cancer hai us ki mama ne kaha k g us ko pata tha mai jub 3 din baad ghar aya to sub se pahly meri mama ne pocha k kia howa hai aap 3 din se ghar nahi ay mene apne mama papa ko is baat ka bataya mere mama papa ne muje hosla dia or kaha ALLAH ki cheez thi ALLAH k pass chali gai beta tub se ub tak mai buhat udas ho gaya or akela b...................

Sharmeli Larki


Mera naam s hai main 2nd year ka student hoon. Main ek s naami larki se pyar kerta hoon jo mere collage main parhti hai. Main us se dil ki gheraoon se pyar kerta hoon who ek sharmili larki hai jab dekho muskurati rehti hai main ne use first time coffee shop per dekha jo bare pyar se mere taraf deekh rahi thi or deekh deekh kar muskura rahi thi us ki muskurahat aise thi ke bhulai nahi ja sakti phir main ne khud aage barh ker use salam kia or us se kaha do you friend ship with me. Who sirf muskurai or chali gai doosre roz jab collage main aaye to aate saath hi mujhe us ne kaha ke aaj coffee shop main aana aap se kaam hai yeh keh kar hamesha ki tarhan muskura ker who chali gai main first period khatam hote hi coffee shop gya thori dair baad who wahan per aaye or hum dono ek table per bethe the us ne mujh se mere mutaliq poocha or main ne bhi us se us ke bare main poocha valentine day aaya main ne use yellow rose dia magar najane keun us ke chehre se aisa lag raha tha ke who kuch or chahti ho. Dil hi dil main who bhi mere tarhan mujh se pyar kerti thi magar keh nahi sakti thi lekin main ne doosre din us se kaha ke s main tum se bohat pyar kerta hoon who yeh sunte hi sharamai or paani paani ho gai us ne bhi mujh se pyar ka iqrar kia hum isi tarhan ek doosre se byhat pyar kerte the magr taqdeer ko shayad kuch or hi manzoor tha keun ke who aaj hamare darmian maujood nahi hai. Who ek accident main us ke death ho ghi thi magr main aaj bhi us se bohat pyar kertahoon or who bhi mujh se pyar kerthi hai aaj bhi who mujhse milne aati hai mujhese baate kerti hai or mujhe cher ker jati hai main din raat usi ke bare main hi soochta rehta hoon. Or sirf usi se hi pyar kerta hoon. Agar aap ko mere kahani thori si bhi achi lagti hai to mujhe apne comments se agha kare


Piyar ki Sachi Kahani


Us larkey 12 sal pyar kia hai aur in 12 salon mian jo pyar ki qeemat jo usne ada ki hia woh hi janta hun k usney kia khoya aur kia paya
paya to sirf sabaq hai lakin khoya sab kuch hai
us larkey ko jab pyar hwa to us waqt uski umar 8 ya 9 sal thi.
ap sab bhi heran ho gain ho gain k yeh bhi koi umar hai pyar kerney ki lakin shayad woh us k dil k bohot qareeb thi is liyey us k dil main bas gai khair us larkey ka pyar us larki k liyey din badin barhta gaya aur us larkey k dil main hi nahi us us larki k dil mian bhi pyar us larkey k liyey barhta gaya lakin dono k pyar sey dono k ghar waley khush nahin they dono pyar apni zimmedari per ker rahey they
12 sal tarapan k bad un dono ki zid k agey dono k ghar walon ne har man hi li lakin yeh un ki har thi ya koi drama yeh to ALLAH hi behtar janta hai 
12 sal bad 28 october 2006 jo din woh larka aj tak nahi bhula woh din us k liyey sab sey bada khushi ka din tha jo us k liyey kab qayamat ka din ban gaya usey pata hi nahin chala 
uski engegment hui aur bari dhum dham sey hui lakin jab end ki rasmain chal rahin thin to achanak us larkey ki sister ka us larki ki sister sey jhjgra ho gaya aur jis ko us ney 12 sal chaha yeh soch ker k ek din woh usey miley gi zarur miley gi per us ney to us ka hath sahi sey thama hi nahin tha k chura liya gaya 
is hadsey k bad woh larki 4 din tak behosh rahi hai aur woh larka apney gharwalon sey itna dur chala gya k jahan woh apney ap ko bhi nahin pehchan pa raha tha 
aj tak us larki ko0 yad ker k woh larka rota hai us ki awaz sunney k liyey tarasta hai us ko dekhney k liyey tarapta hai koi us sey us ki jan ley ley per us larki se mila dey aur ager mila nahin sakta ho us ko dikha hi dey aur ager dikha bhi nahin sakta to sirf uski awaz hi suna dey bcoz He LOVE HER VERY MUCH 


True Love Stories


Arma aj bht ghussy me thi k q usy arham ne love letter likha tha .arma smj ri thi k arham usy phansane ki koshish kr ra h.q k arham k khandan walo k sath arma k abu or dada g ki ni bnti thi,unki aksar apas me laraiyan hti thin. .halan k arham arma ko sach me bht chahta tha. .wo 2no clas-fellows thy college me..arham ne love letr likha tha k,Dear arma asslamu alaikum..arma mene bht himat krke tmhe letr likha h..believe me arma me bht majbur hn dilke hathon..jbse tmse mila hn tb s bht bechen rehta hn tmse milne tmse baten krne ko..arma me tmse bht bht pyar krta hn..plz mje ghalat mat smjna me tmhe flirt ni kr ra. .Arma mje umed h tm inkar krke mje mayus ni krogi plz arma try 2 undrstnd my feelings..ok arma apna bht bht khayal rkhna or mje tmhare jwb ka intzar rahega..ARHAM.Arma k 2 bhai thy,abid or sahil.abid sbse bra tha jb k sahil arma k bd ka tha..arma k abu ka apna busines tha kafi pesa tha unke pas. .lekin unho ne kbi gharur ni kia bht nek dil insan thy hr kisi ki help krte hr ek s duaen lety..lekin arma k abu ne ek kam bht bura kia tha apne sath k apni pasand ki 2sri shadi ki jb k pehli bv arma k dada g ki psnd thi. .js se arma k abu khush ni thy. .arma 2sri bv ki aulad thi..jinhe yasir sb bht pyar krte. .yasir arma k abu ka nam h..or arma k dada g ka nam sarvar khan tha jo k bht iztdar log thy..hr koi unse bht pyar krta or izt b bht krte. .gaon me unka bht nam tha..ek din jb achanak sarvar khan ko pta chla k unke bety ne 2usri shadi krli h shehar me to unho ne bht bd duaen di apne bety ko or unko dilka dora parh gya or mr gye.Arma k sotely 3 bhai thy,fahem,nasir nd nabeel..arma ko apne husan pe bht gharur tha..arma ne ek din arham ko bht danta k mjse ainda bt mat krna me tmhari shkl dkhna pasand ni krti ,tm kya smjte o k me itni asani s tmhare hathkandy me ajaungi. .ye tmhari ghlt fehmi h Mr-arham..jb k arham usy chup chap sunta ra or ankhon s ansu nikle. .pr wo sirf 2 e alfaz keh k gya k tm jo smj ri o ghlt smj. .me tmhe shayad kbi ni smjha paon apna pyar k me tmhe khud se ziada chahta hn arma. .ek lamhe ko arma ka dil pigal gya arham k ansu dkh k pr phr usne khudko cntrol krlia. .dil e dil me arma b arham ko chahne lgi thi pr dr ri thi k kahin arham flirt na kr ra o. .Phr ek hafta hogya tha arma ko clge se chutiyan kiye..arham bht pareshan tha k arma q ni i college,kahin wo bemar to ni ya phr mri wja se. .? Ni ni bilkul ni arma aisa ni kr skti. .trah trah k khayalat aa re thy arham k dilme. .ALlah Allah krte wo hafta b guzr gya..jb arma college i to ek dm s arham pas aa pncha or uski tbiat ka pucha. .me thek hn tmhe mri fikr krne ki koi zrurat ni oky..Arham ankhon me pyar k ansu liye arma ko takta e reh gya. .arham chutti tk arma k khylo me e gum tha k jb car drive krne lga to accidnt hogya. .arham hospital me behosh tha . .arma ko uski 4rnd uzma ne cl ki arham ka car accidnt hogaya h,to arma kelye to jsy puri kainaat veeran parh gai o..Arma k ansu ruk e ni re thy. .arma k gr wale puch puch k thak gye thy pr arma kch ni btai or bahana kia k mre sr p drd h..arma hospital agai driver ko liye apni 4rnd k sath. .rasty me uzma ko sb btaya k me b arham s bht pyar krne lgi hn uzma,me ghlt thi mene bht bura behave kia h arham k sath,mene kbi b sedhy mu bt ni ki arham s..pr uzma me drti thi k baba jani s bdla to ni ly re arham log..wrna uzma me b dil e dil me chahti thi..lekn bs ab me arham s juda hne ka soch b ni skti uzma..Arma arham k pas ana chahti thi lekn wahan usky gr wale thy to bahr window s e ro k chli gai..ab ek mahena hogaya tha arham ko thek hue,wo jsy e college agya to arma chmt k rne lgi or apna dil khali kia sari baten bta k..arham bht khush hua or kaha arma tm ek dfa to mje btati k tmhare dilme akhir kya h jo tm aisa behave. .me tmhe psnd ni ya kch or. .kher arma jo hogya dfa kro purani baten bhula k hm nai zndgi ki shruwat krte hn..arma ko nak s zor s pkr k khencha to wo or b zor s roi. .arham muskura k usy galy s lga dia.Arma k abu kch 2 din bd gaon ja re thy apne bety ki shadi pe ..arma ki puri family ja ri thi lekn arma khfa thi k wo ye 2 hafty ksy guzaregi arham k bina..lekn phr cl krke arham ne hosla dia k jan kch ni hta 2 hafty yun chutki me guzr jayengy,or wesy b me tmhe roz cl krnga tmhe kbi udas ni rehne dnga hmm. .ab jao or jaldi s packng krlo..wrna uncle g sochengy k abi s mre damad g ne mri beti p qabza jma lia..or arma hns k cl drop ki. .Phr wo log agly dn gaön pnch aye,shadi ki tayarian bre dhoom dham s o ri thn. .aj arma shadi k dn bht pyari lg ri thi purple clr ki long shirt or white pajama me arma to ksi hoor s km ni lag ri thi..arma k czns log to pagal e ho re thy arma ko dekh kr. .arma unhe lift e ni dy ri thi..shadi me bht mza aya khub nacha gana kia sb czns ne nd arma logon ne..aj shadi ka 2sra din tha k arma keliye uske taya k bety ka proposal agya or arma ko bina inform kiye arma k abu ne arma ka hath dy dia ..Jb arma log wapas loty to arma ko jesy e pta chla usne itna hungama kia k pura gr sar p utha lia ..arma ro ro k khana b ni khaya or room me bnd ri. .arma ne bht chaha k mangni toot jaye lekn sb bekar..arma ki shadi ki tarekh b tey krdi usky dada ne..arma ne apne kaprey pack kiye or bhag gai or arham k pas agai k arham plz mje apne pas chupa lo me ni reh skti tmhare bagher arham plz kch kro. .arham ne bht smjhaya k ye thek ni arma tm wapas jao gr. .me koi or hal nikalta hn lekn arma na mani. .phr arham ne usy apne pas rkha..Udhar arma k ghar wale pareshan or puri baradri me unki bezti hogai..arma k dada ghusy s lal ho re thy..arma k sagy dada to fot ho chukey thy lekn dada k bhai raheem khan znda thy or unki bht chlti thi..Arma ne black clr ka dres pehna tha or sofy pe apne khayalon me gum bethi thi,bal agy ko aty to unhe apne narm o nazuk hath se pechy ko krti. .arham agr is hal me arma ko dkhta to pagal hjata. .lekin arham aj apne ghar gaya tha ta k kisi ko shak na hojaye k arma iske pash thehri hui h..Udhar arma k ghar wale jga jga dhund re hn arma ko. .pta ni zameen kha gai ya asman arma akhir gai kahan?arma k abu ghussy s lal.Itne me arma k bre bhai gaön se pnch aye or kaha baba jani o na o ye mje arham logon ki chaal nzr ati hy. .wo humse bdla lena chahte hn humari bzti krana chahte hn lekin baba jani u dnt wry me aisa hr giz ni hne dunga.Yasir khan ne apne bety ko dkh k apne sath sakoon ki sans li. .Beta kch kro wrna agr gaön walon ko pta chla to kahin k ni rahengy beta tmhe to pta h k gaon walon ko zra c bt b bht hti h . .ye to phr b bht bri bt h beta .G baba jani me sb janta hn ap fikr na kren hum bht jald iska hal nikalengy..agly din lga k arma arham k han e hy ..ye khbr sunte e yasir khan ko bht ghussa aya or apni bv ko kaha k kya ac parwarish ki h tmne apni ladli ki k mra mu kala kr gai. .wah begum wah mre aba g ne bilkul drust frmaya tha ghalat hogaya tha me..aqal ghas khane chli gai thi jo mene tmse shadi ki.Arma ki ami k ankhon me ansuon k selab jesy agye hn. .lekin yasir isme mra kya kasur h mene to ni kaha tha k jao arham k pas ..yasir ye apki b to ghlti h na apko arma ka rishta tey krne s pehle arma ki b raye malum krni chahye thi..ye to hmare mazhab me b jaiz h yasir.
Chup raho bkwas bnd kro ye tmhari e to ghlti h tm maa ho tm smjha ni skti thi apni beti ko..akhir mayen hti kis liye hn..yasir khan ne ek b na suni or chla gaya arham k gr apne bhatijey or bety k sath..arham k gr walon ko b pta ni tha k arma arham k pas h. .is wja se bht larai v arham k gr walon k sath arma k gr walon ki. .arham apne ghar walon ki bezati brdasht ni kr ska or akhir bol pra k uncle apki beti khud mre pas i h mene bht smjhaya tha usy lekin wo ni mani or uncle me b bht pyar krta hn arma s usy khush rakhne ka vada krta hn ap apni marzi s or khushi s hume ek krdijye plz. .is se hum 2no k khandan walon ki b izzat bch jayegi. .uncle me arma ko janta hn wo bht ziddi larki h wo kch b kr legi..yasir khan ne thappar lga dia or kaha arma ko kahan chupaya h usy lao jaldi wrna mre hathon khun hoga aj.Arham arma k pas lekr gya yasir khan ko..arma ne arham ko herangi s dkha or kaha ni arham me ni jaungi tm ne q mje inke hawale kia. .arma ko mar mar k bura hal. .Arma ko bht smjhaya uski maa ne or bhaiyon ne..arma ki shadi ki tarekh to tey thi lekin usy or b qareb krdia. .ta k jald az jald hojaye or arma gaon chli jaye. .arma ki shadi ka din tha uski sb 4rnds i v thn or bht khfa thn k arma ki mrzi k bagher q o ri h shadi. .br br hosla b dti pr ye b kehti k kash arham s hti to bht pyari jori lgti . .arma ro ro k behal bethi sirf han or ni ka jwb dti ri. .agly din arma ko rukhsat krke jahaz me gaon ley aye yasir khan or unki bv b sath aye. .arma pholon ki sej me sajhi sanwri bht pyari lag ri thi k jesy koi pari bethi o lal jorey me. .arma ki sb gaon ki aurten taref pe taref kiye ja ri thn lekn arma sb se bekhbr apni or arham ki yadon me gum thi. .usy apna ap bht bura lag ra tha g chah ra tha k yahin pe jan dy dy. .usy kamrey me bht ghuttan mehsus o ri thi.Rat hogai or arma ab bed pe bethi udas khamosh gum sum dunya s bekhbr ansu beh e ja re thy k achanak drwaze dastak k sath e kamran enter hogaya or aa kr arma k pas beth k ghunghat utha k salam kia or dkhte e reh gaya or apni pasand pe fakhar mehsus krne lga..lekin arma chup chap udas bethi nechy e nechy dekh ri thi. .halan k is khas rat ko liye kitne e khwb sajati hn intezar krti hn lekin arma bechari k dil me ac koi khwaish ni ri thi. .mashaALlah arma mri pyari jan aj to such me hoor lag ri o. .nazr lgy mashaALlah..lekin arma tm udas q o kheriat tmhari tbiat to thek h na?g me thek hn bs youn e .Arma itna keh k chup e hogai. .or kamran dekhte dekhte arma ko apni bahon me jakhar dia lekin arma jesy bejan hogai o. .subah arma naha k ainy k agy apne bal kangi kr ri thi k kamran agya or usy kis krna chaha lekin arma ne bahana krke mana krdia or tayar o kr bahir chli gai..kamran ko smjh ni aa ri thi arma q aisa kr ri h ?halan k larkian to khush hoti hn k unhe unka partner dhair sara pyar dy jb k arma ko zra b khushi ni hti..kamran tayar o kr kam pe chla gya.Din youn e guzrte gye arma k lekin arma pe koi asar na hua kamran k pyar ka..arma ab shehar ja ri thi apne parents s milne shadi k bd pehli bar..bht khush thi ..kamran usy sare safar me baten krta ra lekin wo kch na boli sirf muskura k han na ka jwb dti ri..akhir pnch i parents k ghar.Mri beti kitni kamzor hogai h dekho yasir chota sa mu reh gaya..lgta h kamran iska khayal ni rkhta .arma ki ami musalsal boli ja ri thi or sath me apni beti ko galy lga ri thi br br. .yasir betha sofy pe news paper parh ra tha. .unhe apni bv ki youn baten sunana kamran ko acha ni lga . .or bole itni e fiker thi to biah k q dy ri thi or ye to thek thak h fit h..yasir apko ni pta hmari beti humne itne nazon se bri ki h wo gaon me bhla kesy adjust kr skegi..kamran ko apna ap bht bura lga or wo bina kch bole bahir chla gaya.Arma se agle e din uski sb 4rnds milne again. .arma bht khush thi apni 4rnds s milkr.Arma ko arham ki bht yad sta ri thi wo kbse bechen thi k bt kre arham s or mile..arma ne bht sochne k bd phir se arham k pas jana chaha or kch dn bd kamran k jate e wo chli gai. .is dfa gaon walon ko b pta chal gya tha q k ek maheny se ziada hogaya tha k wo sasural ni loti thi..Kamran bht khfa tha k akhir mre pyar me kya kmi reh gai thi jo arma ne mre sath aisa kia..han tbhi wo khamosh khamosh c rehti bat e na krti kisi se or mjse b dur rehna pasand krti thi.Arma ko phr se laya gaya or gaon chor k chle gye yasir khan..kamran ne arma ko smjhaya k dkho arma ab koi faida ni ye sb krne ka . .q k ab tmhari shadi b hogai h or tm pregnant b ho arma. .agr ye sb mje pta hota to me na bnta tmhare rastey ka kanta.Or arma tm e q hr br apne apko hr br bdnam krke jati o arham k pas?kya wo ek din aya h tmhe leny ya phr tmhe chupa ska gr walo se. .arma me tmhe arham s ziada khush rakhunga tm bs ek dfa arham ko bhula kr to dkho .Or arma apne parents ko b to dkho unke bare me b to socho k unpe kya betegi tmhari in harkaton se..arma roi ja ri thi khana b ni khaya tha kch dino se..me q sochn un parents k bare me jinhe sb pta tha k me is rishtey s khush ni hn lekin phr b jan buj k mri zndgi tabah krdi..kamran mje tmse koi gila ni lekin me ni bhula skti arham ko. .plz mje chor 2 k me jaon..kamran ne bht smjhaya or arma man gai or khana b kha lia..arma ab khush thi kuch to farak para tha kamran k pyar ka . .or fark parta b q na,kamran sb kuch jante hue b arma ko apnane keliye tayar tha ..ab arma maa ban gai or ek beti ko janam dia..arma b gul mil gai thi apne sasural me . .ye shayad kamran k pyar ka e natija tha to jo arma itni zidi larki bdl gai thi..arma 2bara maa bnne wali thi k achanak uski tbiat khrb hogai or bcha b na ra or arma ko doc ne btaya k ab tm kbi maa ni bn sakogi..arma bht pareshan thi lekin kamran ne usy hosla dia k arma mene tmse bche peda krne keliye shadi ni ki thi. .arma me tmhe bht pyar krta hn bs hmari zndgi pyar muhbt se guzr jaye mre liye ye kafi h. .or hum bilkul aulad se mehroom b to ni. .ALlah mia ne hume ek beti se b to nawaza h na pagal. .ab shabash ansu pncho or mre galy lgo . .arma muskra k boli ap bht bht great hn kami me bht ghalat thi.Arma ki sas ne bht chaha k kamran 2usri shadi kre ta k unka beta o. .lekin kamran ne ek na suni..hmesha arma ki khushi ko aihmiat di.arma ko apne sath shehar lekr gya ta k arma apne parents k kareb b o or khush rahe..arma b khush thi ab lekin arma ki khushi k kuch e din thy ..arma ne jb ek din arham ko dekha to bht bechen ri or phr se purani baten yad aney lgi or uski doston ne b warghalaya k arma ab tm arham k pas e jao to thek rahega q k ab tmhari aulad b ni hti. .or ho na ho kamran k gr wale kamran ki shadi ek na ek din krke e rahengy..Arma ko lga k uski dost thek keh ri h. .usne bina kch sochy apni beti ko uthaya or kamran ko kam pe rukhsat krne k bd chli gai. .arham ne kaha arma tm ab mre pas e raho q k mje pta h tm ab kbi ni reh skti apne shohar k pas. .tmhe mene bht smjhaya lekin tm such me bht bewakuf or zidi larki ho. .arham ki shadi ho chuki thi uske bchy b thy . .lekin arham arma ko ab youn bech rah me ni chorh skta tha q k wo arma ko bht pyar krta tha. .arma ko is dfa chupa k rkha or arma k gr wale jb aye to arma ne police ko inform kia k mre gr wale mre sath zbrdsti krna chahte hn Me khush ni hn apne rishte se lekin mre ghar wale mje ni chor re br br mje wahin bhej dty hn.kamran ne usi tym arma ko talak di or kaha me ghalat tha. .ab tm azad ho tm kbi ni manogiKamran ne apni beti li or gaon wapas aa gye. .arma ne arham k sath nikah kia or adalat me apni hifazat ki apeal ki. .or ab arma k gr wale qanoon k agy mjbur thy. .arma aj b pachta ri h q k arham ka rawaiya bdl gaya hy or arma ko marta petta b h or hr trah ki pabandi lgai h. .arma apni beti or ek bht pyar krne wale husbnd ko kho chuki h..


Ek baat pe kehte ho tum ke

har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?

dil ko beqaraaree hai

fir kuchh is dil ko beqaraaree hai
seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai
Fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
ashq_baaree ka hukm_zaaree hai
be_KHudee be_sabab naheeN ?GHalib?
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai?.

ishq ne Ghalib nikammaa kar diyaa

Gair lei.n mehfil mei.n bose jaam ke
ham rahe.n yu.n tashna-alab paigam ke
Khat likhe.nge garche matlab kuchh na ho
ham to aashiq hai.n tumhaare naam ke
ishq ne ?Ghalib? nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhi aadmi the kaam ke

ye na thee hamaaree qismat

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar ?eitabaar hota

vo aaye ghar me

ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n
vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n

Shehr e Dil

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..
Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..
Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???
Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..
ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .

Tu wo zaalim

Tu wo zaalim hai Jo Dil mn reh kr b mera na ban Saka “Ghalib”
Aur Dil wo kafir Jo mujh mn reh kr b tera hogaya…

...........<......................>..............

Usey khuda bana daala

Hum Ne Mohbaton Ky Nashe Me Aa Kr Use Khuda Bana Dala,
Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ky Khuda Kisi ek Ka Nahi Hota…

Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise

Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise
Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise
Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise
Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise
Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise
Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise
“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar..

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)

An Article on Parveen Shakir and Her Poetry


Parveen Shakir (Urdu: پروین شاکر) (November 24, 1952 - December 26, 1994) was a Pakistani Urdu poet, teacher and a civil servant of the Government of Pakistan.

Parveen started writing at an early age and published her first volume of poetry, Khushbu [Fragrance], to great acclaim, in 1976. She subsequently published other volumes of poetry - all well-received - including Inkaar [Refusal], Sad-barg [Marsh Marigold], Khud Kalami [Conversing with the Self] and Kaf-e-Aa'ina [The Edge of the Mirror], besides a collection of her newspaper columns, titled Gosha-e-Chashm [The Sight Corner], and was awarded one of Pakistan's highest honours, the Pride of Performance for her outstanding contribution to literature.

I have got an article on Parveen Shakir and her poetry which is quite interesting. I am going to post it here. I hope you ill like it. Here you go! 
Parvin Shakir

Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya


Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya
Hawa Ke Saath Musaafir Ka Naqsh-e-Paa Bhee Gaya
Mein Phool Chunti Rahee Aur Mujhe Khabar Na Howi
Wo Shakhs Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhee Gaya
Bohat Azeez Sahee Osko Meri Dildaari
Magar Ye Hai Ke Kubhi Dil Mera Dukha Bhee Gaya
Ab Un Dareechon Pe Gehray Dabaiz Parday Hain
Wo Taank Jhaank Ka Masoom Silsila Bhee Gaya
Sab Aaye Meri Ayaadat Ko, Wo Bhee Aaya Tha
Jo Sab Gaye Tou Mera Dard Aashna Bhee Gaya
Ye Ghurbatain Meri Aankhon Mein Kaisi Utri Hain ?
Ke Khwaab Bhee Mere Rukhsat Hain, Ratjaga Bhee Gaya…!

Aqs Khushbu Hun, Bikharnay Se Na Rokay Koi..

Aqs Khushbu Hun, Bikharnay Se Na Rokay Koi
Aur Bikhar Jaon Tou Mujhko Na Samaitay Koi
Kaanp Uthti Hun Mein Ye Soch Ke Tanhaayi Mein
Mere Chehray Pe Tera Naam Na Parh Le Koi
Jis Tarah Khwaab Mere Hogaye Raiza Raiza
Is Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bikhray Koi
Mein Tou Is Din Se Hiraasaan Hun Ke Jab Hukm Milay
Khushk Phoolon Ko Kitaabon Mein Na Rakhay Koi
Ab Tou Os Raah Se Wo Shaks Guzarta Bhee Nahee
Ab Kis Umeed Pe Darwaazay Se Jhaankay Koi?
Koi Aahat, Koi Aawaaz, Koi Chaap Nahee
Dil Ki Galyaan Badi Sunsaan Hain, Aaye Koi

Gawahi Kaisay Toot’ti, Muamla Khuda Ka Tha..

Gawahi Kaisay Toot’ti, Muamla Khuda Ka Tha,
Mera Aur Uska Rabta To Haath Aur Dua Ka Tha.
Gulab Qaimat-E-Shaguft, Shaam Tak Chuka Sakay,
Ada Wo Dhoop Ko Hua, Jo Qarz Bhi Saba Ka Tha.
Bikhar Gaya Hai Phool To Hum Hee Se Pooch Guchh Hui
Hisaab Baghbaan Se Hai Kia Dharaa Hawa Ka Tha,
Lahoo Chashida Hath Us Ne Choom Ker Dikha Dia,
Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha,
Jo Barishon Se Kabal Apna Rizq Ghar Mein Bhar Chuka,
Woh Sheher e Moor Se Na Tha Door Bais Balaa Ka Tha..

Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke Silsilay Bhee Nahee

Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke Silsilay Bhee Nahee
Shikast-e-Khwaab Ke Ab Mujh Mein Honslay Bhee Nahee
Nahee Nahee ! Ye Khabar Dushmanon Ne Di Hogi
Wo Aaye, Aa Ke Chalay Bhee Gaye ! Milay Bhee Nahee
Ye Kon Loog Andheron Ki Baat Kartay Hain ?
Abhee Tou Chaand Teri Yaad Ke Dhalay Bhee Nahee
Abhee Se Mere Raffugar Ke Haath Thaknay Lagay
Abhee Tou Chaak Mere Zakham Ke Silay Bhee Nahee
Khafaa Agarche Hamesha Howay Magar Ab Ke
Wo Barhami Hai Ke Hum Se Unhain Gilay Bhee Nahee

Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna

Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna
Ab Tou Har Haal Mein Hai Ham Ko Safar Mein Rehna
Dil Ko Har Pal Kisi Jaadu Ke Asar Mein Rehna
Khud Se Niklay Tou Kisi Aur Ke Dar Mein Rehna
Sheher-e-Gham ! Dekh, Teri Aab-o-Hawaa Khushk Na Ho
Raas Aata Hai Ose Deeda-e-Tar Mein Rehna
Faislay Saaray Osi Ke Hain Hamaari Baabat
Ikhtiyaar Apna Bas Itna Ke Khabar Mein Rehna
Tootna Yun Tou Muqaddar Hai Magar Kuch Lamhay
Phool Ki Tarah Mayassar Ho Shajar Mein Rehna
Taayir-e-Jaan Ke Guzarnay Se Badaa Saaneha Hai
Shoq-e-Parwaaz Ka Tootay Howay Par Mein Rehna

Sheher ko teri justaju hai bohat..

Sheher ko teri justaju hai bohat,
In dinon hum pe guftagu hai bohat,
Jab se parvaaz ke shareek miley,
Ghar bananey ki aarzoo hai bohat,
Dard reh reh ke sar uthaata hai,
Kabhi kam ho gaya, Kabhi hai bohat,
Kuch tou woh yaad bhi bohat aya,
Kuch in ankhon mein bhi lahu hai bohat,
Peeney wali aankh hai darkaar,
Aankh ko chaand ka sabuu hai bohat..

Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai

Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai,
Magar Kya Roothna Usse Wo Apni Dhun Mein Rehta Hai,
Madaarat-E-Alam Mein Wo Nahi Shirkat Ka Kaail,
Na Apne Dukh Batata Hai Na Mere Ranj Sehta Hai,
Lab-E-Khamoosh, Chashm-E-Khushk Kya Samjhayenge Tujhko ?
Jo Barish Dil Mein Hoti Hai Jo Dariya Dil Mein Behta Hai,
Mujhe Tujhse Juda Rakhta Hai Aur Dukh Tak Nahi Hota,
Mere Andar Tere Jaisa Ye Aakhir Kaun Rehta Hai ?
Khayal-E-Yaar Abhi Roshan, Abhi Nazron Se Ojhal Hai,
Abhi Ye Raishmee.n Dariya Pahadon Mein Hi Behta Hai…!

Sochuun Tou Wo Saath Chal Raha Hai

Sochuun Tou Wo Saath Chal Raha Hai
Dekhuun Tou Nazar Badal Raha Hai
Kiun Baat Zabaan Se Keh Ke Khoyi ?
Dil Aaj Bhee Haath Mal Raha Hai
Raaton Ke Safar Mein Wehem Sa Tha
Ye Mein Hun Ke Chaand Chal Raha Hai ?
Hum Bhee Tere Baad Jee Rahain Hain
Aur TU Bhee Kaheen Behel Raha Hai
Samjha Ke Abhee Gayi Hain Sakhiaan
Aur Dil Hai Ke Phir Machal Raha Hai
Hum Hee Buray Ho Gaye —- Ke Tera
Mayaar-e-Wafaa Badal Raha Hai ?

Taar-e-Mazgaan Nahee Mil Raha Tha



Taar-e-Mazgaan Nahee Mil Raha Tha
Zakham Kis Yaad Ka Sil Raha Tha
Barf Mein Roshni Ghul Rahee Thi
Wo Mujhe Khwaab Mein Mil Raha Tha
Kuch Ajab Roshni Baagh Mein Thi
Phool Kis Rung Ka Khil Raha Tha
Saamnay Tha Wo Aur Dono Chup Thay
Ab Na Ham Thay Na Wo Dil Raha Tha
Rung-o-Rogan Ki Baatain Mehel Mein
Sheher Bunyaad Se Hil Raha Tha

Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay



Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay
Chaand Kay Hamrah Hum Har Shab Safar Kartay Rahay
Raaston Ka iLm Tha Na Ham Ko Simton Ki Khabar
Sheher-e-Na-Maaloom Ki Chaahat Magar Kartay Rahay
Ham Ne Khud Se Bhee Chhupaya Hai Aur Saaray Sheher Ko
Tere Jaanay Ki Khabar Deewaar-o-Dar Kartay Rahay
Wo Na Aaye Ga Hamain Maaloom Tha, Os Shaam Bhi
Intezaar Os Ka Magar Kuch Soch Kar Kartay Rahay
Aaj Aaya Hai Hamain Bhee Un Uraanon Ka Khayaal
Jin Ko Tere Zaim Mein, Be-Baal-o-Par Kartay Rahay

Ajab Makaa.n Hai Ke Jis Mein Makee.n Nahee Aata

Ajab Makaa.n Hai Ke Jis Mein Makee.n Nahee Aata
Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata
Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chodh Baithi Thi
Yehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata
Maza Hee Shair Sunaanay Ka Kuch Nahi Jub Tak
Qaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Chee.n Nahee Aata
FIshaar Jaa.n Ke Bohat Hain Agar Nazar Aayein
Har Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata
Bharam Hai Mehr-o- Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab Tak
Muqaabil In Ke Wo Roshan Jabee.n Nahee Aata

Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye


Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye
Jub Se Hum Un Ko Mayassar Ho Gaye
Hum Jo Kehlaaye Tuluu-e-Mahtaab
Doobtay Sooraj Ka Manzar Ho Gaye
Sheher-e-Khobaa.n Ka Yehi Dastoor Hai
Murr Ke Dekha Aur Pathar Ho Gaye
Be-Watan Kehlaaye Apne Dais Mein
Apne Ghar Mein Reh Kar Be-Ghar Ho Gaye
Sukh Teri Meraas Thay, Tujh Ko Milay
Dukh Hamaaray Thay, Muqaddar Ho Gaye
Wo Saraab Utraa Rag-o-Pe Mein Ke Ham
Khud Faraibi Mein Samandar Ho Gaye

Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga



Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga
Wo Apni Zaat Ke Har Rang Mein Hawa Hee Laga
Mein Aisay Shakhs Ki Masoomiyat Pe Kia Likhuun ?
Jo Mujh Ko Apni Khataaon Mein Bhee Bhalaa Hee Laga
Zabaa.n Se Chup Hai Magar Aankh Baat Karti Hai
Nazar Uthaayi Hai Jub Bhee Tou Bolta Hee Laga
Jo Khwaab Dene Pe Qaadir Tha, Meri Nazron Mein
Azaab Daitay Howay Bhee Mujhe Khudaa Hee Laga
Na Mere Lutf Pe Hairaan Hai Na Apni Uljhan Per
Mujhe Ye Shakhs Tou Har Shakhs Se Judaa Hee Laga

Dua to jane kaun si thi..

Dua to jane kaun si thi,
Zehen mein nahin,
Bas itna yaad hai,
Ke do hatheliyan mili huyi thi,
Jin mein ek meri thi,
Aur ik tumhari..

Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat Ke Saath

Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat Ke Saath
Kia Tujhe Bhee Koi Yaad Aata Hai Barsaat Ke Saath ?
Roothnay Aur Manaanay Ki Hadain Milnay Lagee.n
Chasham Poshi Ke Saleeqay Thay, Shikayaat Ke Saath
Tujh Ko Kho Kar Bhee Rahuun Khilwat-e-Jaa.n Mein Teri
Jeet Paayi Hai Mohabbat Ne Ajab Maat Ke Saath
Neend Laata Howa, Phir Aankh Ko Dukh Deta Howa
Tajurbay Donuun Hain Wabasta Tere Haath Ke Saath
Kubhi Tanhayi Se Mehroom Na Rakha Mujh Ko
Dost Hamdard Rahay Kitnay, Meri Zaat Ke Saath

Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai



Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai
Apne Malbay Pe Kon Sota Hai ????????
Khushbuein Gair Tan Se Aati Hai
Baazuoun Mein Mujhe Samota Hai
Mere Dil ! Aansuoun Se Haath Utha
Kaisi Baarish Se Zakham Dhota Hai
Shaam Hotay Hee Meri Palkon Per
Kon Ye Haar Sa Pirota Hai
Raat Ke Bekaraan Andheray Mein
Koi Jugnu Ki Neend Sota Hai

Phir nazar mein phool mehke



Phir nazar mein phool mehke, Dil mein phir shamain jali’n,

Phir tassawur ne liya uss bazmm mein jaane ka naam..


Hath uthayen hum bhi

aiye hath uthayen ham bhi
ham jinhen rasm-e-dua yad nahin
ham jinhen soz-e-mohabbat k siwa
koi but, koi khuda yad nahin
aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de
wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin
unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de
jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin
unki raton main koi shama munawwar kar de
jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin
unki nazron pe koi rah ujagar kar de
jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile
ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
aj iqrar karen aur tapish mit jaye
harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah
aj izhar karen or khalish mit jaye

Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain

Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain
Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain
Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan
Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain
Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo
Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain
Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh
Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain
Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain

Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se



Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se
Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se
Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab
Apne zimey hain tera farz najaney kab se
Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab
Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se
Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal
Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se
Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan
Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se
Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad
Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se