Saturday, 25 August 2012

Ahmad Nadeem Qasmi- Tai Karun Ga Yeh Andhera Main Akela Kaise


Tai Karun Ga Yeh Andhera Main Akela Kaise
Mere Hamraah Chale Ga Mera Saaya Kaise

Meri Aankhon Ki Chaka-Chaundh Baant Sakti Hai
Jis Ko Dekha Hi Na Jaaye, Use Dekha Kaise

Chaandni Us Se Lipat Jaaye, Hawaayein Chhedein
Koi Reh Sakta Hai Duniya Mein Achoota Kaise

Main To Us Waqt Se Darta Hun Ki Woh Pooch Na Lein
Yeh Agar Jabr Ka Aansoo Hai To Tapka Kaise

Yaad Ke Qasr Hain Ummeed Ki Qandeelein Hain
Main Ne Aabaad Kiye Dard Ke Sehra Kaise

Zehen Mein Nit Naye But Daal Kar Yeh Dekhta Hun
But-Kade Ko Woh Bana Leta Hai Kaaba Kaise

Us Ki Qudrat Ne Mera Raasta Roka Hoga
Pooch Mujh Se Ki Qayaamat Huyi Barpa Kaise

Agar Samandar Hi Se Dariyaaon Ka Rizq Aata Hai
Us Ke Seene Mein Utar Jaate Hain Dariya Kaise

Toot’ti Raat Ne Sooraj Se Yeh Sargoshi Ki
Main Na Hoti To Tera Noor Barasta Kaise

               ------------------

No comments:

Post a Comment