Saturday, 25 August 2012

Ahmad Nadeem Qasmi - Andaaz Hu-Ba-Hu Teri Aawaaz-E-Pa Ka Tha

                                                                   Ahmed Nadeem Qasmi


Andaaz Hu-Ba-Hu Teri Aawaaz-E-Pa Ka Tha
Dekha Nikal Ke Ghar Se To Jhonka Hawa Ka Tha

Us Husn-E-Ittefaaq Pe Lut Kar Bhi Shaad Hun
Teri Raza Jo Thi, Woh Taqaaza Wafa Ka Tha

Dil Raakh Ho Chuka To Chamak Aur Badh Gayi
Yeh Teri Yaad Thi Ki Amal Keemiya Ka Tha

Is Rishta-E-Lateef Ke Asraar Kya Khulein
Tu Saamne Tha Aur Tassawwur Khuda Ka Tha

Chhup Chhup Ke Roun Aur Sar-E-Anjuman Hasoon
Mujh Ko Yeh Mashwara Mere Dard Aashna Ka Tha

Uttha Ajab Tazaad Se Insaan Ka Khameer
Aadi Fana Ka Tha Jo Pujaari Baqa Ka Tha

Toota To Kitne Aayina-Khaano Pe Jad Padi
Atka Hua Gale Mein Jo Patthar Sada Ka Tha

Hairaan Hun Ki Daar Se Kaise Bacha ‘Nadeem’
Woh Shakhs To Ghareeb-O-Ghuyoor Inteha Ka Tha

No comments:

Post a Comment