Tuesday, 28 August 2012

Jo Us Ke Saamne Mera Yeh Haal Aa Jaye


Jo us ke samne mera yeh haal aa jaye,
To dukh se aur bhi us par jamal aa jaye,
Mera khayal bhi ghunghru pehen ke nachey ga,
Agar khayal ko tera khayal aa jaye,
Har ek shaam naye khawab is pe garrhain ge,
Hamare hath agar teri shaal aa jaye,
Unhi dinon woh mere sath chaye peeta tha,
Kahin se kaash mera pichla saal aa jaye,
Main apne gham ke khazaney kahan chupaon ga,
Agar kahin se koi aur maal aa jaye,
Har aik baar naye dhang se sajayen tujhe,
Hamare hath jo phoolon ki dhaal aa jaye,
Yeh doobta hua suraj theher na jaye Wasi,
Agar woh saamne waqt-e-zawaal aa jaye..

No comments:

Post a Comment