Saturday, 25 August 2012

Ahmad Nadeem Qasmi- Har Lamha Agar Gurez-Pa Hai

Har Lamha Agar Gurez-Pa Hai

To Kyun Mere Dil Mein Bas Gaya

Chilman Mein Gulaab Khil Raha Hai
Yun Tu Hai Ki Shokhi-E-Saba Hai

Jhukti Nazrein Bata Rahi Hain
Mere Liye Tu Bhi Sochta Hai

Main Tere Kahe Se Chup Hoon Lekin
Chup Bhi To Bayaan-E-Mud’da Hai

Ik Umr Ke Baad Muskuraa Kar
Tu Ne To Mujhe Rula Diya

Is Waqt Ka Main Hisaab Kya Doon
Jo Tere Baghair Kat Gaya

Maazi Ki Sunaaoon Kya Kahaani
Lamha Lamha Guzar Gaya

Mat Maang Duaayein Jab Muhabbat
Tera Mera Maamla Hai

Kis Dil Se Karoon Bida Tujhko
Toota Jo Sitaara Bujh Gaya Hai

Rone  Ko Ab Ashq Bhi Nahin
Ya Ishq Ko Sabr Aa Gaya Hai

Ab Kis Ke Talaash Mein Hain Jhonke
Maine To Diya Bujha Diya Hai

Ab Tujh Se Jo Rabt Hai To Itna
Tera Hi Khuda Mera Khuda Hai

Mere Hi Naqoosh-E-Pa Se Saj Kar
Sehra Mera Naam Poochta Hai

No comments:

Post a Comment